Shayari

"mein chup tha to chalti hawa ruk gayi, jabaa sab samajhte hein jazbaat ki"

February 04, 2007

Nice Quote

We don’t read and write poetry because it is cute. We read and write poetry because we are members of human race and human race is filled with passion. Medicine, law, engineering are noble pursuits and necessary to sustain life but poetry, beauty, romance, love is what we stay alive for – Dead Poets Society

September 25, 2006

Chand ki Kiran

Chaand ke kirno ne ek naya aayam diya
Shayad suraj kabhi aayega ye aas jagayi
Raat bhar jiye uski yaadon ki parchahai
Lekin, Subah ki pehli kiran ya ankhan na dekh pai

July 01, 2006

Raat

Raat ke andhere mein channd ki chandni kya suhati hai
Taaron ki jagmagahat anokha hi geet gati hai
Sannate ki aahat madhoshi ka aalam
Unmad se bhari ek katil hasee dil chura jati hai

May 02, 2006

timepass senti share

Nasha teri aadaon ka dil pe is kadar chaya hai

Ye dil hi to sirf bacha tha, ab to ye bhi paraya hai

-------------------------------------------------------------------

Aie Nazanein, Yoon tum mujpe zulm na dhaoo

Meri kashish samjoh yaar, ab to maan jao

pyaar hi pyaar

Aadmi ke pyar mein kya josh hai
Ki aaj har dil bahut behosh hai
Jille ilahi to nashe mainn madhosh hain
Unki begum kyon aaj itni khamosh hai

March 12, 2006

Mein kyoon jita huin

Mein nahin janta mein kya chahta huin
Keval do boondein ho inayat ki choti beshak
Mein unhi ko pike shayad ji lena chahta huin

Suraj ki roshni kabhi dekhi hai shakun nein
Har pene wale ka yahi to aanjam nahin hota
Teri yaadein mere dil pe dastak deti hain
har jene wale ka yahi mukam to nahi hota

Kuch purani yadadein-2

Kyon nahi milta tere jaisa koi muzhko ab
Kya aaise hi teri yaadon mein jita chala jaaonga
Jakhm gehra hai teri yaadon ka
Kya sirf waqt se sita chala jaoonga

Mein kyoon pita huin

Vajah nahi hai phir bhi kyon itna pita huin
Shayad yahi vajah hai ki mein itna pita huin
Sunoge meri kahani to pina chod(leave) doge

Tumahari kami ko pura karne ko itna pita huin

February 08, 2006

Tum shayad chaand ho

Utre aasma se sitare chamkte hain, aisa to nahi hota
Yadi mein galat to nahi, Tum shayad chaand ho

AAdaab

Mukammal nahi ye jahan guftgu bejod hai
Unki parchaai ka itna aadab hai khuda bhi khamosh hai
Sar aayetein padhne ko humne jabaa ko uksaya
Vo kya padhegi aur katil, muskurahaton ne unki, kiya madhosh hai.

Kuch purani yadadein-1

Adaein humne tumme dekhi jo, vo log na samajh payenge
Teri yaadon ki tanhaai mein hum jeete chale jaayenge

January 03, 2006

badnaam

Aafwahein phelein hain shahar mein aandhi ki tarah
Sambhal ke rakhna aapne aapko sharafat se
Ud na jaye kahin teri chunri bhare bazar mein
meri majboor ijjat ki tarah

aakhiri boond

Aadayain bahut masoom hai, kya dilkash nazara hai
Mere sanam tuzhe humne botel se jam mein utara hai
Jo mere kwahishen thi, tere saath ruksat ho gayin
Ab yehi jaam aur teri yaadein mere jene ka sahara hai


Sabhi mere saath kyoon aisa kiya karte hain
Aakhri boond ko kyo nahi jiya karte hain
Vo boond aaj rat mere kwab mein aayegi
Ab to bejan bhi mujse badle liya karte hain

Hum pite hain jene ke liye

After a long time, I am back with few of my new creations.

Lahoo mein lali kam ho gayi to
Pe lete hain jene ke kiye
Kasam yaro ne di jo dosti ki
Pete hain yaari nibhane ke liye
Dil agar tute to dard hota hai
Piya karte hain zakhm sene ke liye
Udaas hoton pe koi dastaan ho to
Thoda sa pite hain dil ko samzhane ke liye
ye aankhen jab jab zhukti hai
pe liya karte hain inko uksane ke liye
jab koi bhi na ho zindagi mein bahana
to pe lete hain sirf jam ka saath nibhane ke liye

May 18, 2005

Pyaas

Aankhon se jo dil ka hal jaan jaye usse dildar kahte hain,
teri nazakat jo teri ada mehkaye usse guljaar kahte hain,
Aapni aankhon se palke na utha lena,
muzhe aab log begar kehte hain

----------------------------------------------------------

Zindagi ke game shyaam mein tanha na kar dena
ek jaam ka hi to sahara hai, isse to bhar dena.

-------------------------------------------------------------

Unke husne dedar bhar se dil machal jatein hain
par kuch to nache mein doob jatein hain
aur bache to dhuein mein ghir jaate hain

Yadi unhone karli baat humse
to kuch to unki aankhon se mar jatein hain
bache to yadon mein rah jaatein hain

Jab unke nikah ki baat aayi
to kuch to sunkar hi mar jatein hain
aab bhi bache to dil jala kar pi jatein hain.

------------------------------------------------------

Vo kehte hain sher sunaiye shayari kijiye
hum kehtein hain unse, pehle us bechare se to mil lijiye
mehphil to aapki saj jayegi kabhi aur bhi
uske janage ko to kam se kam le utth jaane digiye

--------------------------------------------------------

Aap najakat se kya gujere mohalle se,
kuch tutne ki aawaj aayi
kam se kam nazerein utthakar dekh to letti,
aapki ada hai kya kayamat layi

-------------------------------------------------------

phoolon pe udtein hein bhawarein to shabnam ki chah hogi
tarein jo jagmagatein hain to chandani paas hogi
thoda sa to muskura do dekh kar
is nacheez ke liye aur kya pyari baat hogi

------------------------------------------------------------

Pyar ki kashish ko har koi kahan samazhata hai
ye aagosh mein aane ka naam nahi
ye to dilo ka shivala hai
bistaron pe likhe jaane wali dastan nahin

-----------------------------------------------------------------

yadi gam ka pata sirf aansoon se lagta
to mein unhe bhi rok leta
khuda ki inayat tni to hoti
bahar se to hansta
chahe maan mein kitna hi ro leta.

----------------------------------------------------------------------------

Is zindagi mein tere bina nahin rah payenge
kya karein kuch kah bhi nahi payenge
meri aankhon se vo samajhate nahi hain
shayad mere aasoon se jaan jayenge

yahi sochkar dil ko tasalli dete hain
ki unke khayalon ki gahariyon mein
kahin to hamare khayal honge
mar mar kar ji rahe hain hum
aab aur na ji payeinge

--------------------------------------------------------------------------------

zindagi ke har mod per do rastein hain
ek aasan ek mushkil
rahi chalta raha chalta raha
kabhi ek par kabhi dusre par
aur usse naye mod milte rahe
ek baar aasan phir mushkil rasta
phir mushkil aur phir aasan
kuch dost mile kuch saathi
aur vo bhool gaya purane humsafar
thaak gaya aant mein chalte chalte
kahin aaram karne laga
socha bahut dur nikal aaaya hoon
par manzil nahi mili
bahut pareshan tha
aaspan kisi ko khojne laga
ek boodha marnasaan avastha mein pada tha
rahi ne poocha aapki ye halat kaise?
Vo vrudh vyakti bola
Manzil ko sochkar, tum door aa gaye ho
rastein mein aapne saathiyon ko chod aaye ho
jeevan mein kiske liye manzil dhoondte ho,
aapne pairon ke nisha to tum khud mita aaye ho.

---------------------------------------------------------------------------------

Kya kahoon shabd nahin hain is sagar mein
Sirf chand boonde hain
kal ki yadon ko sanjoon kaise
jagah nahi is aanchal mein
sirf chand boonde hain
kuch hi der pehle to mile the hum
par is sachhai ko jhutlaoon kaise
sirf chand boonde hain
thodi hi der mein aankhein nam ho jayengi
aab in boondon ko chopaoon kaise
sirf chand boonde hain

-------------------------------------------------------------------------------------

Tumhare bichadne se dil ka ye aalam hai
ki raat din moti chuna karte hain
log kehte hain pagal hai, deewana hai
unhe kya pata aise hi tumhare aasoon dikhte hain

---------------------------------------------------------------------------------------

aapni nigahon se itna zulm na dhiye
kahin hum mar na jayein ab aur na hame tadpaiye
Humare pyaar ki kashti mein bharne laga hai paani
kahin hum doob na jayein aab to aapna haath badhaiye

humare dil mein jo lagi hai badi bhayankar hai vo aag
aapki hogi nazerein inayat, thoda to raham pharmaiye
katra katra ho gayi hai meri zindgi
aapse aakhari iltzaah kate hain
ab to aa jaiye ab to aa jaiye

-----------------------------------------------------------------------------------

kahan se chale kahan aa gaye
rasto ko banate hue bas lehra gaye
aviral avirat chanchal
asmay dukh ke sathi hridya par cha gaye

aankhon se choopaya, kaise dil ko samjhaya
par chitig ke tare kahin choope hain
mere ang ang per vo cha gaye hain
kaise chipoon samazh nahi aata
samajh nahi aata aakhir kyon
Kyon mere aasoon muzhein tadpa rahe hain

----------------------------------------------------------------------------------

May 16, 2005

ada

Aaapki nazerein ada
Aapka husn khuda
Aapki hansi katilana
Aapki ankhein wafa
Aise hi muskurate rahein aap

yahi hai aapni dua

May 13, 2005

valentine

This poem I wrote on last valentine day( feb-05).

Chilling wind is cutting through my clothes
Still waiting for warmth of your love
Heart is passionate, desire is true
Waiting for serendipity, thinking of you

Still feels the fragnance of our first encounter
Speechless talks and unprecedented attraction
Your beautiful soul inside a lovely body
Perhaps, can never match the pace of those heartbeats

God helped everytime to get a view of you
I know you, you know me;But there is something stopping us
Let us come out of shells this valentine day
To say the most awaited words “ I LOVE YOU”

Please listen to me otherwise

Please listen to me otherwise,
A lovable flower will lose its fragnance
A laudable face will never shine again
A pleasant personality will not be pleasing any more
An innocent’s innocense will be innocent for always.

Please listen to me otherwise
The sunshine will lack meaning for someone
Twinkling stars won’t have any charm for someone
Thundering storms will stop affecting someone
The passionate heart will lose the passion for someone.

raste-5

Pyaar karein sirf tumse,
Tumhara hi sahara hai,
haan kaho ya na kaho,
Ye dil bas tumhara hai

raste-4

wo yuhi humse batane laga apne dil ki musrufiat ka aalam
Hum sunne lage uski dastaan e mohabbat
kahani to wohi hoti hain har kisi ki,
kuch logo ki zidd or kuch logo ki nafrat!!

raste-3

Sab kuch khoya khoya sa lagta hai,
Thoda rutha rutha sa bhi,
Dundhle dundhle sapne hai sab,
Thode kachhe pakke se bhi.

Main bhi ekdin khoob padunga
ek bada aadmi banooga
Bahut purane sapne they sab,
Thode Addhe adure se bhi,

Ek pyara sa sansar hoga
kuch aapne ka saath bhi hoga,
chotta sa sansar hai mera,
Thode apne paraye se bhi.

Meri Ijjat rutba hoga,
Dur Dur tak naam bhi hoga,
Jhoot moot ka natak hai sab
thode log paraye se bhi

Sab kuch khoya khoya sa lagta hai,
Thoda rutha rutha sa bhi,
Dundhle dundhle sapne hai sab,
Thode kacche pakke se bhi.

raste-2

Ek saahil ki lahar sabko bhigo deti hai,
nazakat kisi ki dilo ko dubo deti hai,
Kyon log dusron ke saath aisa karte hain,
Kisi ki galtiyaan kiso ko sazaa hoti hai

raste-1

Hum aaj thoda thak gaye hain aur na chal payenge
Kadam kadam pe roye hain ab aur na ro payenge
Thoda sukoon hum ko bhi to mil jaane do zaalim
Bahut chale hain hum zaldi hi so zayenge

parag

Madmast shaam ke jhokon ne,
Jab Lehron ko mehsoos kiya,
Chand ki badti kirno ne,
Taaron ko jab pyaar diya,

Mene thoda aage badhkar
Unka aanchal pakad liya
Iss pyare mausam mein humne
Un laharon ko mahsus kiya

Dheere dheere meri sanso ne
Unki sanso se ishq kiya
Us phool ka thoda sa parag
Is bhavrein ne yaar piya

Suroor

Nazakat par unki humko bahut goroor tha
Jaane hum jaise kitno par unke pyaar ka soroor tha

aagaz

Mein unko kuch kah na paya yehi gam hai,
AAGAZ hi na ho paya meri dastaa ka, Kya ye kam hai.
Dard ke daria par khada huin mein,
Aur tum kehte ho ki paani kam hai.

April 28, 2005

creation-Humraaz

aamne samne khade the ham,Kuch door kal the kuch door aaj
Ijhare mohabbat karne ko the,Sab saath par nahi humraaz

creation-aashique

Hawaoon se kah do ruk jayein,Ghataon se keh do barasna chod de,
Aie husn waloon tum Jushn manao,Ek aasique ka janaja nikla hai

creation-chand mera dost

Aaj kal chand hi mera dost hai,
Purane dino ki yaadon mein hum bahut masruf hain,
Koi bhi nahi saath sirf tu hai
Kal ke dino ki yaddon ka aiyana hai tu.
Tu hi sirf mera humraaz hai
Aaj kal chand hi mera dost hai

March 15, 2005

collection-3

Sirf chahne se mulakat nahi hoti,
Suraj ke saath kabhi raat nahi hoti,
Hum jise chahete hai jaan se bhi jayada,

Saamne hote hai par baat nahi hoti

collection-2

Yeh mat sochna bhool jayenge tumhe,
Door rehkar bhi chahenge tumhe,
Agar dost banker raas na aaye,

To ajnabee banker bhi yaad aayenge tumhe

March 12, 2005

creation-11

Pyaar karein sirf tumse,Tumhara hi sahara hai,
haan kaho ya na kaho,Ye dil bas tumhara hai.

March 10, 2005

creation-10

Dhadkano ki kashish, tumhari aadein,
tumhari aadein, humara pyaar,
humara pyaar,ek unkahi dastaan,
ek unkahi dastaan,unki muskarahat,
unki muskarahat katilana nazakat,
katilana nazakat,shaks ki bekarari,
shaks ki bekarari,unki nigahein,
unki nigahein,ye be intahaan pyaar,
ye be intahaa pyaar, Dhadkano ki kashish.

March 09, 2005

creation-9

Sunne sunane ko shayad hi hai kuch baaki
Vo chali gayi rah gayi masrufiat humari
Gaya Mehkashe mein bola pilaye ja saaki

Akele rah gaye hum aur Dillagi Humari

March 08, 2005

creation-8

Tumahre jaane ke bad bhi ye shama na buzhegi
Ab Aur jor se Jalegi, lakin mehfil teri na hogi.

March 05, 2005

creation-6

Pyaar se zara dekho to inayat hogi,
Hum per aapka ek aur ahsaan hoga
Badle mein kuch naa mangiyega humse
Ek dil bacha hai bus
Bekar mein hi badnaam hoga.

March 04, 2005

my creation-5

Yeh pyaar yeh mohhabbat sub kuch bakwaas hai
Pagalon ka kaam hai ye, Aawaragi ka makaam hai,
Yeh VOH bimari hai jiska koi ilaaz nahi
Dawa ek hai,Aur dard uska naam hai.

March 03, 2005

my creation-4


Kitna pyara naam hai unka
Sunkar hi dil ko sukoon aa jata hai
Unki tareef aur kya karein Shakun
Gulaab bhi unhe dekhkar Sharma jata hai

March 02, 2005

my creation-3

Woh Pyaar Nahi Karte
Yeh Batate Bhi Nahi Hai
Woh Pyaar ko Apne Lakin
Jatate Bhi Nahi Hai

Unke Jawab ka intzaar hai humko phir bhi
Vo bas haste hain sirf
jabaa se teen lafz door
humein satate yuin hi hai

March 01, 2005

my creation-2

Aapki aur kya tareef karein,
Alfaaz nahin bache hain humare paas
Dil mein battein bahul si hein kahne ko
Per bolne ki taquat nahi hain humare paas
A nazanee humse na mangna kuch
Ab to humara dil bhi nahi hain humare paas

February 28, 2005

collection-1

Dil se naheen,wafa se bhi maanga
Mein ne tujhe teri raza se bhi maanga,
Na bas chala toh dua se bhi maanga
Khuda ki qasam
mein ne tujhe khuda se bhi maanga

MY Creation - 01

Ek Aisa Sher Sunayenge Ki zindgi bhar aap usse gungunayegi
Aapke dil kay saare diye aise jagmagayenge , Na chah kar bhi aagosh mein aa jayengi