Shayari

"mein chup tha to chalti hawa ruk gayi, jabaa sab samajhte hein jazbaat ki"

March 15, 2005

collection-3

Sirf chahne se mulakat nahi hoti,
Suraj ke saath kabhi raat nahi hoti,
Hum jise chahete hai jaan se bhi jayada,

Saamne hote hai par baat nahi hoti

collection-2

Yeh mat sochna bhool jayenge tumhe,
Door rehkar bhi chahenge tumhe,
Agar dost banker raas na aaye,

To ajnabee banker bhi yaad aayenge tumhe

March 12, 2005

creation-11

Pyaar karein sirf tumse,Tumhara hi sahara hai,
haan kaho ya na kaho,Ye dil bas tumhara hai.

March 10, 2005

creation-10

Dhadkano ki kashish, tumhari aadein,
tumhari aadein, humara pyaar,
humara pyaar,ek unkahi dastaan,
ek unkahi dastaan,unki muskarahat,
unki muskarahat katilana nazakat,
katilana nazakat,shaks ki bekarari,
shaks ki bekarari,unki nigahein,
unki nigahein,ye be intahaan pyaar,
ye be intahaa pyaar, Dhadkano ki kashish.

March 09, 2005

creation-9

Sunne sunane ko shayad hi hai kuch baaki
Vo chali gayi rah gayi masrufiat humari
Gaya Mehkashe mein bola pilaye ja saaki

Akele rah gaye hum aur Dillagi Humari

March 08, 2005

creation-8

Tumahre jaane ke bad bhi ye shama na buzhegi
Ab Aur jor se Jalegi, lakin mehfil teri na hogi.

March 05, 2005

creation-6

Pyaar se zara dekho to inayat hogi,
Hum per aapka ek aur ahsaan hoga
Badle mein kuch naa mangiyega humse
Ek dil bacha hai bus
Bekar mein hi badnaam hoga.

March 04, 2005

my creation-5

Yeh pyaar yeh mohhabbat sub kuch bakwaas hai
Pagalon ka kaam hai ye, Aawaragi ka makaam hai,
Yeh VOH bimari hai jiska koi ilaaz nahi
Dawa ek hai,Aur dard uska naam hai.

March 03, 2005

my creation-4


Kitna pyara naam hai unka
Sunkar hi dil ko sukoon aa jata hai
Unki tareef aur kya karein Shakun
Gulaab bhi unhe dekhkar Sharma jata hai

March 02, 2005

my creation-3

Woh Pyaar Nahi Karte
Yeh Batate Bhi Nahi Hai
Woh Pyaar ko Apne Lakin
Jatate Bhi Nahi Hai

Unke Jawab ka intzaar hai humko phir bhi
Vo bas haste hain sirf
jabaa se teen lafz door
humein satate yuin hi hai

March 01, 2005

my creation-2

Aapki aur kya tareef karein,
Alfaaz nahin bache hain humare paas
Dil mein battein bahul si hein kahne ko
Per bolne ki taquat nahi hain humare paas
A nazanee humse na mangna kuch
Ab to humara dil bhi nahi hain humare paas