Shayari

"mein chup tha to chalti hawa ruk gayi, jabaa sab samajhte hein jazbaat ki"

January 03, 2006

badnaam

Aafwahein phelein hain shahar mein aandhi ki tarah
Sambhal ke rakhna aapne aapko sharafat se
Ud na jaye kahin teri chunri bhare bazar mein
meri majboor ijjat ki tarah

aakhiri boond

Aadayain bahut masoom hai, kya dilkash nazara hai
Mere sanam tuzhe humne botel se jam mein utara hai
Jo mere kwahishen thi, tere saath ruksat ho gayin
Ab yehi jaam aur teri yaadein mere jene ka sahara hai


Sabhi mere saath kyoon aisa kiya karte hain
Aakhri boond ko kyo nahi jiya karte hain
Vo boond aaj rat mere kwab mein aayegi
Ab to bejan bhi mujse badle liya karte hain

Hum pite hain jene ke liye

After a long time, I am back with few of my new creations.

Lahoo mein lali kam ho gayi to
Pe lete hain jene ke kiye
Kasam yaro ne di jo dosti ki
Pete hain yaari nibhane ke liye
Dil agar tute to dard hota hai
Piya karte hain zakhm sene ke liye
Udaas hoton pe koi dastaan ho to
Thoda sa pite hain dil ko samzhane ke liye
ye aankhen jab jab zhukti hai
pe liya karte hain inko uksane ke liye
jab koi bhi na ho zindagi mein bahana
to pe lete hain sirf jam ka saath nibhane ke liye