Shayari

"mein chup tha to chalti hawa ruk gayi, jabaa sab samajhte hein jazbaat ki"

February 08, 2006

Tum shayad chaand ho

Utre aasma se sitare chamkte hain, aisa to nahi hota
Yadi mein galat to nahi, Tum shayad chaand ho

AAdaab

Mukammal nahi ye jahan guftgu bejod hai
Unki parchaai ka itna aadab hai khuda bhi khamosh hai
Sar aayetein padhne ko humne jabaa ko uksaya
Vo kya padhegi aur katil, muskurahaton ne unki, kiya madhosh hai.

Kuch purani yadadein-1

Adaein humne tumme dekhi jo, vo log na samajh payenge
Teri yaadon ki tanhaai mein hum jeete chale jaayenge